Nov 1, 2010

Kumar Vishwas's Hindi Poems

Recently, I have been listening to Dr. Kumar Vishwas who is considered as the most famous and youngest Hindi Poet as of today and there is no doubt about that. 

This is the compilatoin of some of his work, which I found simply amazing. He is really awesome and the words he write and speak, leaves an impression somewhere deep down into the heart. Here it is...

-------

Koi deewana kehta hai, koi paagal samajhta hai
Magar dharti ki bechaini ko bus badal samajhta hai
Mein tujhse door kaisa hoon, tu mujhse door kaisi hai
Ye tera dil samajhta hai, yaa mera dil samajhta hai.
 
-------

Mohabbat ek ehsasson ki pawan si kahaani hai
Kabhi kabira deewana tha, kabhi meera diwani hai
Yahaan sab log kehte hain meri aankhon mein aasoon hain
Jo tu samjhe to moti hai, jo naa samjhe to paani hai.
 
-------

Samandar peer ka andar hai lekin ro nahin sakta
Ye aasoon pyaar ka moti hai isko kho nahin sakta
Meri chahat ko dulhan tu bana lena magar sun le
Jo mera ho nahin paaya wo tera ho nahin sakta.

-------
 
Ki brahmar koi kumudni par machal baitha to hangama
Hamaare dil mein koi khwab pal baitha to hungama
Abhi tak doob kar sunte the hum kissa mauhabbat ka
Mein kisse ko hakikat mein badal baitha to hungaama.

-------

Bahut bikhra bahut toota, thapede sah nahi paaya
Hawaon ke ishaaron par magar main bah nahi paaya
Dhoora ansuna hi reh gaya yuun pyaar ka kissa
Kabhi tum sun nahi paayi, kabhi main keh nahi paaya.

-------

Main jab bhi tej chalta hoon nazaare choot jaate hain
Koi jab roop gadta hoon to saanche toot jaate hain
Main rota hoon to aakar log kandha thap thaapate hain
Main hansta to mujhse log aksar rooth jaate hain.

-------

Main uska hoon wo is ehsaas se inkaar karta hai
Bhari mehfil main bhi ruswa mujhe har baar karta hai
Yakeen hai saari duniya ko khafa hai hum se wo lekin
Mujhe maalum hai fir bhi mujhi se pyaar karta hai.

-------

Jiski dhun par duniya naache, dil aisa ek taara hai
Jo humko pyaara hai aur jo tumko bhi pyaara hai
Jhoom rahi saari duniya jab ki humare geeton par
Yab kahti ho pyaar hua hai, kya ehsaan tumhara hai.

-------

Jo dharti se ambar jode, uska naam mohabbat hai
Jo seeshe se patthar tode, uska naam mohabbat hai
Katra katra sagar to jaati hai har umar magar
Behta dariya wapas mode uska naam mohabbat hai.

-------

Badalne ko to in aankhon ke manjar kam nahi badle
Tumhaare pyaar ke mausam, humaare gham nahi badle
Tum agle janm main hum se milogi tab to manogi
Zamaane aur sadi ki is badal main hum nahi badle.

-------

Koi khamosh hai itna, bahaane bhool aaya hoon
Kisi ki ek tarannum main, taraane bhool aaya hoon
Meri ab raah mat takna kabhi aye aasma waalon
Main ek chidiya ki aankhon main udaane bhool aaya hoon.

-------

Ye dil barbaad karke isme kyu aabaad rehte ho
Koi kal keh raha tha tum allahbad rehte ho
Ye kaisi shohrate mujhko ada kar di mere maula
Main sab kuch bhool jaata hoon magar tum yaad rehte ho.

-------

Panahon mein jo aaya ho,to us par war kya karna?
Jo dil hara hua ho, us pe phir adhikar kya karna?
Mohabbat ka maza to dubne ki kashmkash mein hai,
Jo ho maloom gehraai,to dariya par kya karna.

-------

Tumhaare paas hoon lekin jo doori hai samajhta hoon
Tumhaare bin meri hasti adhoori hai samajhta hoon
Tumhe main bhool jaunga ye mumkin hai nahi lekin
Tumhi ko bhoolna sabse zaroori hai samjhta hoon.

-------

Mil gaya tha jo mukaddar wo kho ke nikala hoon
Main ek lamha hoon, har baar ro ke nikala hoon
Raahe duniya main mujhe koi bhi duswari nahi
Main teri julf ke pechon se hoke nikala hoon

-------

Basti Basti ghor udaasi, parbad parbad khalipan
Mann heera bemol lut gaya, gis gis reeta tan chandan
Is dharti se us ambar tak, do hi cheej gazab ki hai
Ek to tera bhola pan hai, ek mera deewana pan.

-------

Dharti banna bahut saral hai, kathin hai badal ho jaana
Sanjida hona bahut saral hai, muskil hai pagal ho jaana
Rang khelte hai sab lekin, kitne log hai aise jo
Seekh gaye hai falgun ki masti main falgun ho jaana.

-------

Sakhion sang rangne ki dhamki sun kar kya dar jaunga
Teri gali main kya hoga ye malum hai par aaunga
Bheeg rahi hai kaya saari khujraaho ki moorat si
Is darshan ka aur pradarshan mat karna mar jaunga.

-------
 
Shohrat na ata karna maula, daulat na ata karna maula
Bas itna ata karna chahe jannat na ata karna maula
shammae watan ki lau par jab kurban patanga ho
Hothon par ganga ho, haathon me tiranga ho
Bas ek sada hi goonje sada barfeeli mast hawaon main
Bas ek sada hi uthe sada jalte tapte sahraaon main
Jeete ji iska maan rakhe, markar maryaada yaad rahe
Hum rahe kabhi na rahe magar, iski saj dhaj aabad rahe
Godhara na ho, gujrat na ho, insaan na nanga ho
Hothon par ganga ho, haathon main tiranga ho.

-------

Thanks for reading. 
Enjoy.

Feb 12, 2010

Chaahat



Dil mein thi ek chaahat,

Milke tumse accha laga.

Kuch to hui hai hulchul,

Mere dil ko kuch aisa laga.


Hai pyaar tumhe bhi humse,

Ye dil mera mujhse kehta hai.

Reh nahi sakta ik pal tumhaare bina,

Aahein bhar bhar ke doori sehta hai.


Kinnu haal sunaava dil da,

Koi tere warga yaar nahi,

Tu jind meri, tu jaan meri,

Kitay v tere warga pyaar nahi.

Feb 1, 2009

Ehsaas



Ishq hua jo mujhe
Mere khud ka thikaana na tha
Dooba tha is kadar ishq mein
Ki koi sahil koi kinaara na tha

Hai pyaar unhe bhi humse
Is mein koi shaq nahi
Meelo faili thi jo tanhaai
Uske rukne ka bhi ab koi bahaana na tha

Mila hai jo saath tumhaara
Zindagi se koi shikaayat nahi
Aaoge tum yoon zindagi mein
Aisa to kabhi maine socha na tha.

Ho tum dil mein kuch is tarah
Ki har taraf teri hi mehfil nazar aati hai
Inmein teri aankhon ka bhi kasoor hai
Akelaa main to gunehgaar na tha.

Jan 30, 2009

Dil Se...


Zindagi ab bemaksad si ho gayi hai
Gham ke saagar mein is kadar kho gayi hai.
Aa jaao laut ke waapis
Ke ab tumhaari aadat si ho gayi hai

Jaane kyun door chale gaye tum mujhse
kyun ek doori si ho gayi hai
Jin aankhon mein har pal rehta tha chehra tumhaara
Unhe ab aansuon ki aadat si ho gayi hai.

Tumse pyaar karke koi gila nahi mujhko
Wo khushiyaan, un beete lamho mein sajda si ho gayi hain
Kaat lenge zindagi ka ye tanha safar
Ki ab is dil ko dard se ek mohabbat si ho gayi hai

Khila tha jo pyaar ka phool,
Wo kali aaj murjha si gayi hai
Par mit naa paayegi uski wo mehak,
Jo dil mein samaakar dil hi ki ho gayi hai.........

Jan 21, 2009

Deep down inside


The day we met was not any special,
we turned out to be very good friends
But as the time passed,
The seed of love developed in the soil of our hearts
Now we remembered that very first day
And realized what it meant to us.

Today we are in different ships,
going apart from each other.
I don’t have any regressions but still cherish,
the moments we spent together,
the golden period of our lives.

It doesn’t matter how far we are
The light of hope will never fade away
Darkness of this world might try to kill our hopes
But, the intensity of our love wont let it die.

The place where we met for the first time
The trees under the shade of which,
the fruit of our love grew,
Those memories can be still found
in the roots deep down there.

Today we are at two different shores
Only because we love each other so much
But the storm of our love,
can still be seen shattered
on the trails of the path of our love.

Nov 4, 2008

Jo beet gayi so baat gayi...


One of my favorite poem...............

Jo Beet gayi, so baat gai
Jeevan Main Ek Sitara Tha
Maana Vah Behad Pyara Tha
Vah Doob Gaya To Doob Gaya
Ambar Kay Aanan Ko Dekho
Kitne Iskay Taare Toote
Kitne Iskay Pyare Choote
Jo Choot Gaye Fir Kahan Mile
Par Bolo Toote Taaron Par
Kab Ambar Shok Manata Hai
Jo Beet Gayi So Baat Gayi

Jeevan Main Vah Tha Ek Kusum
They Us Par Nitya Nichavar Tum
Vah Sookh Gaya TO Sookh Gaya
Madhuvan Ki Chaati Ko Dekho
Sookhi Kitni Iski Kaliyan
Murjhaayi Kitni ballriyan
Jo Murjhayi Woh Fir Kahan Khili
Par Bolo Sookhe Phoolon Par
Kab Madhuban Shor Machata hai
Jo Beet Gayi So Bat Gayi

Jeevan Main Madhu Ka Pyala Tha
Tumnay Tan Man De Daala Tha
Wah Toot Gaya To Toot Gaya
Madiralya Kay Aangan Ko Dekho
Kitne Pyale Hil Jaate Hain
Gir Mitti Main Mil Jaate Hain
Jo Girte Hain Kab Uthte Hain
Par Bolo Toote Pyalo Par
Kab Madiralaya Pachtata Hai
Jo Beet Gayi So Baat Gayi

[
Harivansh Rai Bachchan]

Sep 28, 2008

Friends Ungeared


We may not see each other that much anymore,
but does it mean that you are not important to me?
Whenever something big happens in your life,
You know I want to hear it and I still want to tell you
about the important things that happen in mine.

The only thing which makes me happy
is to keep sharing things between us
at least for the rest of THIS life
And I especially thank HIM that I have you and will.

Our alliance at this moment is of many years
only to regret that why we didnt met earlier.
Feelings, views, joys, sorrows, secrets,
we all shared between us.
Never, it so happened, that we had to repent.
Copious hours we spent together,
studying, chatting, playing and tearing leather
It all seems to be still happening
somewhere back in our mind full of heart.

In arms of different times we are,
But that strange odd feeling, between us
was never present there.
Now we leave each other at the edge of the cliff
only to make lives easier,
But let me tell you one thing for sure my mate,
regardless of how much effort we make,
we will NEVER NEVER forget each other.