Nov 1, 2010

Kumar Vishwas's Hindi Poems

Recently, I have been listening to Dr. Kumar Vishwas who is considered as the most famous and youngest Hindi Poet as of today and there is no doubt about that. 

This is the compilatoin of some of his work, which I found simply amazing. He is really awesome and the words he write and speak, leaves an impression somewhere deep down into the heart. Here it is...

-------

Koi deewana kehta hai, koi paagal samajhta hai
Magar dharti ki bechaini ko bus badal samajhta hai
Mein tujhse door kaisa hoon, tu mujhse door kaisi hai
Ye tera dil samajhta hai, yaa mera dil samajhta hai.
 
-------

Mohabbat ek ehsasson ki pawan si kahaani hai
Kabhi kabira deewana tha, kabhi meera diwani hai
Yahaan sab log kehte hain meri aankhon mein aasoon hain
Jo tu samjhe to moti hai, jo naa samjhe to paani hai.
 
-------

Samandar peer ka andar hai lekin ro nahin sakta
Ye aasoon pyaar ka moti hai isko kho nahin sakta
Meri chahat ko dulhan tu bana lena magar sun le
Jo mera ho nahin paaya wo tera ho nahin sakta.

-------
 
Ki brahmar koi kumudni par machal baitha to hangama
Hamaare dil mein koi khwab pal baitha to hungama
Abhi tak doob kar sunte the hum kissa mauhabbat ka
Mein kisse ko hakikat mein badal baitha to hungaama.

-------

Bahut bikhra bahut toota, thapede sah nahi paaya
Hawaon ke ishaaron par magar main bah nahi paaya
Dhoora ansuna hi reh gaya yuun pyaar ka kissa
Kabhi tum sun nahi paayi, kabhi main keh nahi paaya.

-------

Main jab bhi tej chalta hoon nazaare choot jaate hain
Koi jab roop gadta hoon to saanche toot jaate hain
Main rota hoon to aakar log kandha thap thaapate hain
Main hansta to mujhse log aksar rooth jaate hain.

-------

Main uska hoon wo is ehsaas se inkaar karta hai
Bhari mehfil main bhi ruswa mujhe har baar karta hai
Yakeen hai saari duniya ko khafa hai hum se wo lekin
Mujhe maalum hai fir bhi mujhi se pyaar karta hai.

-------

Jiski dhun par duniya naache, dil aisa ek taara hai
Jo humko pyaara hai aur jo tumko bhi pyaara hai
Jhoom rahi saari duniya jab ki humare geeton par
Yab kahti ho pyaar hua hai, kya ehsaan tumhara hai.

-------

Jo dharti se ambar jode, uska naam mohabbat hai
Jo seeshe se patthar tode, uska naam mohabbat hai
Katra katra sagar to jaati hai har umar magar
Behta dariya wapas mode uska naam mohabbat hai.

-------

Badalne ko to in aankhon ke manjar kam nahi badle
Tumhaare pyaar ke mausam, humaare gham nahi badle
Tum agle janm main hum se milogi tab to manogi
Zamaane aur sadi ki is badal main hum nahi badle.

-------

Koi khamosh hai itna, bahaane bhool aaya hoon
Kisi ki ek tarannum main, taraane bhool aaya hoon
Meri ab raah mat takna kabhi aye aasma waalon
Main ek chidiya ki aankhon main udaane bhool aaya hoon.

-------

Ye dil barbaad karke isme kyu aabaad rehte ho
Koi kal keh raha tha tum allahbad rehte ho
Ye kaisi shohrate mujhko ada kar di mere maula
Main sab kuch bhool jaata hoon magar tum yaad rehte ho.

-------

Panahon mein jo aaya ho,to us par war kya karna?
Jo dil hara hua ho, us pe phir adhikar kya karna?
Mohabbat ka maza to dubne ki kashmkash mein hai,
Jo ho maloom gehraai,to dariya par kya karna.

-------

Tumhaare paas hoon lekin jo doori hai samajhta hoon
Tumhaare bin meri hasti adhoori hai samajhta hoon
Tumhe main bhool jaunga ye mumkin hai nahi lekin
Tumhi ko bhoolna sabse zaroori hai samjhta hoon.

-------

Mil gaya tha jo mukaddar wo kho ke nikala hoon
Main ek lamha hoon, har baar ro ke nikala hoon
Raahe duniya main mujhe koi bhi duswari nahi
Main teri julf ke pechon se hoke nikala hoon

-------

Basti Basti ghor udaasi, parbad parbad khalipan
Mann heera bemol lut gaya, gis gis reeta tan chandan
Is dharti se us ambar tak, do hi cheej gazab ki hai
Ek to tera bhola pan hai, ek mera deewana pan.

-------

Dharti banna bahut saral hai, kathin hai badal ho jaana
Sanjida hona bahut saral hai, muskil hai pagal ho jaana
Rang khelte hai sab lekin, kitne log hai aise jo
Seekh gaye hai falgun ki masti main falgun ho jaana.

-------

Sakhion sang rangne ki dhamki sun kar kya dar jaunga
Teri gali main kya hoga ye malum hai par aaunga
Bheeg rahi hai kaya saari khujraaho ki moorat si
Is darshan ka aur pradarshan mat karna mar jaunga.

-------
 
Shohrat na ata karna maula, daulat na ata karna maula
Bas itna ata karna chahe jannat na ata karna maula
shammae watan ki lau par jab kurban patanga ho
Hothon par ganga ho, haathon me tiranga ho
Bas ek sada hi goonje sada barfeeli mast hawaon main
Bas ek sada hi uthe sada jalte tapte sahraaon main
Jeete ji iska maan rakhe, markar maryaada yaad rahe
Hum rahe kabhi na rahe magar, iski saj dhaj aabad rahe
Godhara na ho, gujrat na ho, insaan na nanga ho
Hothon par ganga ho, haathon main tiranga ho.

-------

Thanks for reading. 
Enjoy.